SANKLAN

SANKLAN
SANKLAN

Monday, 28 July 2014

                                     
Osho - Eak dhanpati bhagwan ko 10 hazar swarna mudraen arpan karne gaya. Vah dhanpati un mudraon ko bhagwan ki murti ke samax eak-eak gin-gin kar rakhne laga. Vah jor se theliyon main se swaran mudraen nikalta aur khoob khankhanahat hoti. Khankhanahat ki aawaz sunkar mandir main bhid ho gayi.
              Jaise jaise bhid badhhti gayi, uske tyag ka aanand bhi badhhta gaya. Vah aur jor se aawaz karta gaya. Jab vah sari mudraen gin chuka, tab pujari ne us se kaha: "bandhu, yah mudraen vapas le jao. Bhagwan aisi bhent kabhi nahin swikarenge."
              Dhanpati ne puchha: "kyon maharaj?" pujari ne kaha: "Prem kya is tarah vyakt kiya ja sakta hay? Prarthna kya vyakt karne ki vastu hay? Tumhare man main to vigyapan karne ki vasna hay. Tum logon ko dikhana chahte ho ki tum kitne bade tyagi ho. Aisi vasna samarpan karne main asamarth hay. Aur is liye main yah dhan swikar nahin kar sakta.                                                     

No comments:

Post a Comment