SANKLAN

SANKLAN
SANKLAN

Thursday, 31 July 2014

Main tumhe niyam nahin deta,
taki tum niyam palkar muje dhokha na de sako.
Main tumhe shashtra nahin deta.
Main tumhe sirf eak hi sutra deta hun: HOSH.
Mahavir se kisi ne puchha:
Sadhu kaun? Aasadhu kaun?
To Mahavir ne yah nahin kaha
jo jain-muni kah rahe hain -
ki jo din ko bhojan kare vah sadhu,
jo raat ko bhojan kare vah aasadhu,
jo pani chhan kar piye vah sadhu,
jo pani chhankar na piye vah aasadhu Nahin.
Mahavir ne vistar ki baten nahin kin.
Mahavir ne kaha,
Aasutta muni: suta aamuni:
jo soya soya jee raha hay - sutta - vah aamuni, vah aasadhu aur
jo jaga jaga jee raha hay - aasutta - vah sadhu, vah muni.
Yahi main tumse kahta hun.
Jagkar, hoshpurvak jiyo.
Mera sutra sidha saral hay:
Behoshi main tum jo bhi karoge vah paap aur
hoshpurvak tum jo bhi karoge vah punya. Osho

No comments:

Post a Comment